Dil Me Basai Thi Tasvir Mita Dena
Aankhon Me Basaya Tha Nazron Me Gira Dena
Tum Ko To Wafa Meri Kuch Raas Na Aai
Jati Hoon Tere Dar Se Mujhko Na Sada Dena
Jab Tum Se Koi Pooche Baaten Meri Wafaon Ki
Tum Meri Wafaon Par Ilzam Laga Dena
Fir Oski Tamanna Keya Jo Gair Ka Ho Jaye
Bas Itni Guzarish Hai Tum Mujhko Bhula Dena
Chahenge Tumhe Par Kabhi Ruswa Na Karenge
Sayon Se Bhi Tere Kabhi Shikwa Na Karenge
Bhoole Se Kabhi Raah Me Mil Jaungi Tujhko
Milne Ko Dubara Kabhi Wada Na Karenge
Poochenge Hawaon Se Ghataon Se Tera Haal
Milne Ke Waste Kabhi Aaya Na Karenge
Jis Peyar Ki Tabir Kiya Karte The Pahle
Us Naam Ko Diwar Par Likha Na Karenge
Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khaahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai
Abb Kahan Dost Milein Saath Nibhaaney Vaaley
Sab Nay Seekhay Hain Abb Adaab Zamaaney Vaaley
Dil Jalao Ya Diye Aankhon Kay Darvaazey Par
Waqt Say Pehlay Tou Aatey Nhi Aaney Vaaley
Ashq Bann Kay Main Nigaahon Mein Teri Aaoongaa
Ai Mujhay Apni Nigaahon Say Giraaney Vaaley
Waqt Badla Tou Uthaatey Hain Abb Ungli Mujh Par
Kall Talaq Haq Mein Merey Haath Utthaaney Vaaley
Waqt Har Zakham Ka Marham Tou Nhi Bann Sakta
Dard Kuchh Hotay Hain Ta-Umar Rulaaney Vaaley